-
Friendship | Hindi Poetry
Friendship | Hindi Poetry
Hui roshni, hua saveera, Aankh khuli to dikha vo khuda mera, Socha us se mangu dua, Karu koi fariyaad, Kya mangu ? Kya mangu ? Sochte sochte kiya
Tujhko yaad.
Tu – Jo hai mera,Jispe hai meri zindagi ka dera, Jisne mujhe apnaya hai, Jeene ka naya hi tarika sikhlaya hai
Har sahi baat pe danta , aur galat kaam pe ucha chadaya hai Badmashi me kabhi akela na rehne diya, Hamesha khudko mera saathi hi bataya hai,
Tu mujhse dur bhi hua, Par fir bhi paas tha, Tere na hone ka mujhe kabhi na aabhas tha, Yaar Tu mera hi yaar hai Hamesha ye ehsaas tha,
Chalte chalte samay ke saath , Tera saath chalta gaya, Tu mila tha anjaan bankaar, Par mera yaar-dildaar banta gaya,
Mene jaha payi teri surat, Vahi ban gaya aashiya mera,Jaha mujhe teri rooh takraii,
Mil gaya vaha mujhe mera jahaan
Tere saath hone se khila hu mein ,
Teri wajah se khud se hi mila hu mein Teri dosti ne dikhi mujhe apni parchaai, Zindagi ke har mudaav pe ,mene kabhi na koi kami pai,Tu hai to mein hu, Kahi mujhme hi hai tu Tera saat se hi khada hu main
Apni Dosti ko mein Ibaadat ka darja deta hu
Rehna sada tu mera dost, dua ye hi karta rehta hu@ramtajogi
Happy Friendship Wala Day
To those who were there to believe, To those who were my relief,
Those who faced the life as I did, Who believed in the life I lived,
Who laughed at me, who laughed with me, Who planned their life with my destiny,
Who gave me stress, who gave me pain, Who was there to balance for the same who stood for me, never misunderstood me,
Who taught me to live, taught me to love, taught me to be strong, In any way the life evolves,
To those, who promised me to be there, Whenever life gets difficult to bear
Who taught me the meaning of FRIENDSHIP, Then taught me that life just better when travelled in the same ship,
I don’t know life would have been what? Better or fair? IF you were not there? But neither do I need to think that, nor did I want to care?
Because you were, you are and you will be there.
@ramtajogi*********************************
Connect to us @
-
Dosti | Hindi Video Poetry
Dosti | Hindi Poetry
Saloo se jo bitai ha vo zindagi dohrata hu,
Aaj phir se tumhe me, apni dosti ki kahani batlata hu,Vo dosti, jo ek fasana tha, Hamare liye to jine ka bahaana tha,
Vo dost bhi kya dost the yaaroo:
“ Sare rista nate bhulaye the, Har taklif me apne haath age badhaye the,…
Zindagi ke har lutf unhi ke saath uthaye the Aur har kharab waqt me bhi, jinhone bharose dilaye the,
Un doston ke saath,
Din bhar ki masti thi, Dekhte hi unko rooh hasti thi, kuch ko gaane,to kuch ko bajane ka shouk tha kuch ko,padne kato ko aaram farmane ka shok tha,
Milte the roz to din khil jate the, Ek dusre se baato me sare mausam badal jate the, Na din ka khayaal rehta tha, Na hi raat ki parvaah, Ek dusre me na jane kitne kho jate the,
kabhi kabar clg ke undar bhi jana ho jata tha, Aur kabh kabar sir se daatt khana bhi ho jata tha, kabhi kabhi kuch jhagde bhi hote the, Aur kuch logo ke to lafde bhi ho jate the,
Har kisi ki birthday party manate the Aur isi bahane se vapas clg nai jate the,Kabhi kisi ke sath picture dekhne chale jate the, To kabhi kisi ko dukh se bahar nikalne ke liye, Koi natak dohrate the,
Har ladki ko kisi na kisi ki “BHABHI” batate the, Aur na jane kitni ladkio ko apna “true love “kehlate the,
Padhai to sirf xam k ek din pehle hua karti thi, Par uske liye bunk to mahino pehle se mare jathe the, Aise hi chalte chalte, ek aant samay aya, Aur tab sabne khud ko bada akela paya,
Din tha bichadne ka ye samaj na aya,…
Aur waqt chalta chalta chala gaya.
Aur dekhte hi dekhte sab alag sa paya,
Dhere Dhere zindagi ne Jine ka tarika sikhlaya, Aur humne khud ko uski daldal me fasa hua payaAb akele hi jiya karte haidosto ki kami ko mehsus kiya karte hai,
Aaj yaad aa gai un dosto ki,
“Dost shabd jinke liye choota sa lagta hai,Jin logo ke khuuda ka darza dene ka man karta hai”
Me hun Jogi, aur lika hai ye apne dosto ke naam, Me nai bhula hu tumhe ye hai tumhare liye mera paigaam.@ramtajogi
*********************************
Connect to us @
-
Udaas | Hindi Poetry
Udaas | Hindi Poetry
Aaj dil Udaas hai,Jane kya raaz hai,
Aankein nam hai,
Dil me Aas hai,
Hoto pe sabd nai,
Phir bhi sine me pyaas hai
Aaj dil udaas hai,
Koi mere bhi Log Apne the,
Kuch mere bhi hasin sapne the,
Koi apne paraye hue,
Kuch sapno ko vo bhula gaye
Is se dil ko laga ek aaghaat hai,
Aaj dil udaas hai
Vo apne aaj apni hi dniya mein kho gaye hai,
Vo sapne fir se sapno me jake soo gaye hai
Pehle ek dosti,ek pyaar tha,
Ek dussre ke undaar basta sansaar tha,
Aaj sabko fikr to bas apni bhuk, apni pyaas hai,
Aaj dil udaas hai
Aaj hum apne aap ko bhulaye hue se ho gaye hai,Khud ke hi sataye hue se ho gaye hai
Ab na to kisi se pyaar,
Na hi kisi ke dard ka koi ehsaas hai
Aaj dil udaas hai
Udaas | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
-
Ek Pagli Si Ladki | Hindi Poetry
Ek Pagli Si Ladki | Hindi Poetry
Vo Hasti hai, Hasati hai Apni Aakhon se Batiya ti hai, Ajeeb aadaton se apni, Hume pyaar karvati hai Mukh kholti hai apna jab bhi, To kuch Anokhi Baatein hi Sunati hai Umaar Beet Jay Sunte Sunte Use, Kuch Aisa mehsoos karvati hai
Ek pagli si ladki hai vo, Jo is Dil ko bada Lubhaati hai.Haath uske nazuk se,
Komal uske paanv hai
Makhmali se gaal uske,
Anokhe uske baal hai,
Dikhne ko to dikhti hai achi,
Par us se bhi kai zyada to vo itrati hai
Ek pagli si ladki hai vo, Jo is dil ko bada Lubhaati hai.Bachhon jesi Zid hai usme Badon jesi samajdhaari hai Rehti hai apni 3 sakhiyon ke beech Sabse pyaari usko vo yaari hai Jab bhi hoti hai sang unke Khushi se jhoom jaati hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati haiEk Alag si Masumiyat hai Ek Alag sa hai bhoolapan Khush hoti hai to karti Jag Roshan Dukh mein Roye Man hi Man Apne Ehsaason ko, Apne cheere pe nai laati hai
Ek Pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati haiKabhi kabhi roothti bhi hai vo, Kabhi kabhi jhunjhlati bhi hai Gussa karti hai jab bhi, Awaaz aur surat uski aur pyaari ban jaati hai Mein manata hu jab bhi usse, To aur gussa ho jati hai Kuch der Tadpa ti hai, Kuch der Tarsa ti hai Fir apne aap haske maan bhi jaati hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.Milti hai jab bhi mujhse , Saare gum bhula deti hai Zindagi mein khush rehne ki, Ek nayi vajah deti hai Pyaar to jyada nai hai mujhse, Par thoda bahot apnapan jata deti hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.Us pagli ko hasana acha lagta hai Uske dukh bhulana acha lagta hai Umar bit jay sang uske, Vo sapna suhaana lagta hai Par jab bhi karta hu sang jeene ki baat, To sidhe inakaar kar deti hai Kehti hai,Waqt nai hai, Haalat nai hai Mere dil mein abhi vo jasbaaat nai hai Samjata hu us pagli ko, Rukh ja kuch pal aur Waqt ho, Nasseb ho ya fir ho koi apni soch, Sab badalti hai zarur ek roz, Par meri baatein vo naadan samaj nai paati hai,
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.
Jab nai hoti saath mere, Adhure se ho jate hai haalat mere,
Ek tanhaai chaa jati hai, Cheere pe ek mayusi si aa jati hai Yun to hai kai log jeene ke liye fir bhi, Uske bina Zindagi khali si ban jaati hai, Sab samajti bhi hai, Par khud ko samjaana nai chaahti hai
Ek Aisi vo paagli Ladki hai, Jo is dil ko bada Lubhaati hai
——— @ramta Jogi
*********************************
Connect to us @
-
Kyu? | Hindi Poetry
Kyu? | Hindi Poetry
Zindagi yu uljhi-uljhi Si Kyun Hai ?
Akelepan Mein Yu Bhujhi- Bhujhi Si Kyun Hai ?
Kyu Ise Age Ane wale kal ki Chinta Hai ?
Kyu is Zindagi Mein Ek Namnta Hai ?
Kyu Chehron Pe Hasi Ek Dikhava sa hai ?
Kyu aankhon mein khushi bas Ek Chalaava sa hai ?
Kyu apno se hum Door ho gaye hai ?
Kyu Is Waqt ke haaton Majboor ho gaye hai ?
Kyu har ghadi hume kisi aur ki Sooch hai ?
Kyu hum usi soch mein Madhosh hai ?
Kyu har Aanth ke baad Shuruvaat vahin se hoti hai ?
Kyu har din ke baad, ye Raat vahin pe soti hai?
Kyu bas Sansein chal rahi hai, Aur zindagi tham gai hai ?
Kyu apne aap mein hi yeh band gai hai ?
Kyu saalon se adhure aarman khoote ja rahe hai ?
Kyu hum is jaahan mein rehte hue bhi dur hote ja rahe hai ?
Kyu na Apne Bitee hue waqt ko Na yaad kare ,
Kyu na Zindagi ki ek nayi Shuruvaat kare,
Kyu Na Jeeyein Zindagi apni Khushi se,
Aur Payein Khushi apni Zindagi se….
@ramta jogi
*********************************
Connect to us @