Ab Jao | Hindi Poetry
POETRY

Ab Jao | Hindi Poetry

Ab Jao | Hindi Poetry

Ab jab ja rahe ho, to bus jao,

Kuch bata ke mat jao, kuch jata ke mat jao.

Kuch samja ke mat jao, kuch buja ke mat jao,

Ab jab ja rahe ho, to bus jao.

Ye na socho ki kiski galti thi,

Kahan shuru hoi koi baat,

Kahan koi baat bigdi thi,

Kisne bahaye ashq, kisne dor thami thi,

Ek umeed mein kati, kisne sari zindagi thi,

Us adhure ishq mein, ab khud Ko aur mat dubao,

Ab jab ja rahe ho, to bus jao.

Ye na pucho ki kesa lagta hai?

Dard bhaari hai ya fir halka hai?

Kya raaton ko aati hai sukoon ki neend?

Ya ghaav dil pe kafi gehra hai?

Shabdon ke sahaare se, ab itni fikr mat jatao.

Ab jab ja rahe ho, to bus jao.

Na thamo, na thehro,

Na ruko, na  kuch kaho,

Bhulo ab, ki kya khoya, kya paya,

Na karo mehsus, ki koi apna hua paraya,

Aaj ki khamoshi Ko apnao,

Kal ki awaazon Ko sapna samaj bhul jao.

Apni sachai Ko ek jhutha chehra dikho,

Ab jab ja rahe ho to bus jaoo.

@ramta Jogi

*********************************

Ab Jao | Hindi Poetry

Connect to us @

Facebook:

Instagram: /

Youtube

For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe