Kal- The Past, The Future | Hindi Poetry
POETRY

Kal- The Past, The Future | Hindi Poetry

Kal- The Past, The Future | Hindi Poetry

Jo baatein kal unse hui,

Vo kal kisi aur se bhi hogi

Jo pyaar bhari mulakaatein kal unse hui

Vo kal kisi aur se bhi hogi

Vo afsaane, panno pe fir parose jayenge

Vo nagme, shabdon mein fir pirohye jayenge,

Fir se hogi vo gud gudi do dilon ke bich,

Fir se vo janmo janam ke vaade dohraye jayenge

Vo shaamein hasi se fir khilegi

Fir kisi ke sang vo raatein, meethi baton se dhalegi,

Vo jaane anjaane mein rok tok fir hogi,

Vo ruthne manane ki nok jhok fir hogi,

Sab Kuch jo kal unke sang hua, vo kal fir hoga

Ab ki baar sirf vo waqt, vo daur alag hoga,

Zindagi ka samundar to rahega vahi,

Bas kashti ke intzaar ka choor alag hoga

Kuch lamhon ke tham jane se, waqt rukta nahi,

Kuch apno ke bichad jane se , pal theherta nai,

Vo to tha ful tha kamal  ka,

Use to kichard se nikalna hi tha,

Apni khushboo se roshan karne pure jahaan ko,

Use kaanton se to bichardna hi tha,
Yaadein to rahegi uski, zehen mein humesha,

Dil tutne ka dukh bhi hoga,

Par jo bit gaya use bhulake

Ane wale kal ki umeed ka sukh bhi hoga,

Ab vo alfaaz alag honge,

Jo in lafzon se niklenge ,

Gehraai ki sochme, Sanjoke niklenge,

Pyaar to hoga beshumaar firse,

Is baar samajhdaar bhi hoga,

Sirf umeedon pe jo tika hua tha,

Ab thoda hoshiyaar bhi hoga
Naadani to hogi firse,

Par kal ki galtiyaan na dohraai jayengi

Sikhaya hai ateet ne jo,

Vo sikh ab saari nazar ayengi

Bachpana bhi hoga aankhon mein,

Hothon pe masum si muskaan bhi khilegi,

Vo jo ek umeed sajai thi kal unke saath,

Vo hakikat banke ab kisi ke sang aur behtar guzregi.

*********************************

Connect to us @

Facebook:

Instagram: /

Youtube

For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe