Nayan | Hindi Poetry
Nayan | Hindi Poetry
Ek nayan ke do tare,
Donno usko behadh pyaare,
Ruthe ek, to vo roye,
Dujhe ke dukh mein, dukhi hoye,
Dono taron ki apni bhasha,
Apni samaj, apni jigyasa,
Pagal, nathkat, nautanki donno,
Apne aasma mein chamakte rehte,
Chaand karta raat roshan,
Ye taare us roshni ko shobha dete.
Rehte pare vo ek duje se,
Methaas to unke sangam mein thi
Sundar the vo donno tare,
Chamak par unke man mein thi,
Pyaare hai vo mere tare,
Pyaara vo sansaar hai,
Raat ho jab in ke sang pyaari,
Subah ki kisko darkaar hai?
@ramta jogi
*********************************
Nayan | Hindi Poetry
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry