-
लिखना |Hindi Poetry
लिखना | Hindi Poetry
अब लिखना विखना बंध हुआ ,
वो सपने दिखना बंध हुआ ,
कागज़ , कलम से जो होती थी ,
उन चर्चाओं का अंत हुआ ।
अब लिखना विखना बंद हुआ ।
वो सोच सोई दूर कमरे में जाकर ,
शब्द ढूंढे उसे गांव भर फिरकर ,
मिलके जो सेकते दोनों, यादों की रोटी ,
वो रोटी खाना अब दुर्लभ हुआ ।
अब लिखना विखना बंद हुआ ।
अब किसी की कमी नहीं खलती ,
वो जो था दर्द , अब नर्म हुआ ।
किसी चेहरे को देख , अब हसीं नहीं खिलती ,
ख़ुशी का जो भाव था ,अब कम हुआ ।
एहसास जो टहला करता था ,
गली , मुहल्लों और दुकानों में ,
उसका अब चौबारों से निकलना ख़त्म हुआ ।
अब लिखना विखना बंद हुआ ।
ख़त्म हुई अब जुस्तजू ,
ख़त्म हुई अब बेचैनी ,
ख़त्म हुई वो नोक जोक खुदसे ,
ख़त्म हुई वो गलतफैमी ,
वो असमंजस में फिरती रूह का ,
किस्से कहानियों से अब रिश्ता ख़त्म हुआ ।
अब लिखना विखना बंद हुआ ।
@ramta jogi
लिखना | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry
-
Chehre |Hindi Poetry
Chehre | Hindi Poetry
Kuch to baat hogi unme,
Vo chehre zarur khas honge,
Mile na, jo humse,
Unme zarur vo ehsaas honge
Vo humse behtar batiyate honge,
Kisse kahaniyan sunate honge,
Aankhon mein apni vo,
Tumhe ishq dikhate honge
Jis saadgi se chhaha humne tumhe,
Use vo behtar darshate honge,
Kuch to baat hogi unme,
Vo chehre zarur khas honge,
Unhe tumhe samajna aya hoga,
Anusar tumhaare unhe dhalna aya hoga,
Nami tumhaari mehsus to hume bhi hua karti thi,
Unhone aage badhke hausla dilaya hoga,
Tum zarurat ho unki,
Yeh alfaz kafi baar sunaye honge
Kuch to baat hogi unme,
Vo chehre zarur khas honge,
Baatein humne bhi ki thi,
Nami tumhaari, hume bhi khali thi,
Chehre pe hasi, humne bhi khilayi thi,
Tumhe apni zarurat, humne bhi batayi thi,
Par kuch to chhahat thi tumhaari bhi,
Jis se hum dur rahe,
Nain tiki un chehron pe,
Jin me hum be-noor rahe,
Ishq bhi hua tumhne jin apno se,
Vo zarur surele saaz honge
Kuch to baat hogi unme,
Vo chehre zarur khas honge,
@ramta jogi
Chehre | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry
-
Bachpan | Hindi Poetry
Bachpan | Hindi Poetry
Vo sham ko ghar lautna, ek sukoon tha,
Ghar pauchkar khelne jana, ek junoon tha
Piche se maa nashta khilane ko daant rehti,
Hum to bagiche ki aur bhaagte rehte ,
Pure din ki thaakan gayaab si hojati thi,
Sari takleefiyen us khel mein kho jati thi,
Thake hare ate ghar jab,
Garam pani aur tauliya taiyaar milta tha,
Nahate hi, maa ka pyaar khaane mein beshumaar milta tha,
Fir TV ke saath thoodi aankh micholi hoti thi,
Papa ke ghar ate hi, apne kamre ki taraf humari dooli nikalti thi,
Kuch pal apni kitaabon ko jab dete, aankh jhapak si jaati thi,
Bin kuch soche , bin kuch samje, Bin kuch jaane, bin kuch mane,
Apne aap hi ek sukoon ki neend aajati thi
Ek sapne ki tarah , har pal sufiyana tha,
Kuch aisa hi mere bachpan ka zamana tha,
Aaj sab sukoon se dur hue bethe hai,
Apni aadaton me mashghool hue bethe hai,
Bhatak te hai tanhaah khudse,
Neend ko taraste, majboor hue bethe hai,
Yaad hai sabko vo khel kud, vo school vo tiffin,
Vo kal ke pal jo the koi soch koi samaj ke bin,
Jab jaante nahi the duniya ki samaj,
So sara samaaj hi apna tha,
Samaj ke ane se samaaj se hi dur hone lage,
Sab kaam us umr me bhi khatm hua karte the, bin jyada soche,
Jabse sochne lage, kaam adhure chutne lage,
Bachpan chood , bade hone ki zid thame the,
Bade hote hi bachpaan ye yaadon mein khone lage,
Zindagi mein aaj bade hote hote, bachpaan bhi kho bethe hai,
Par na jane kyu fir is aaj ke dar se,
khud ko us bachpane se dur kiye bethe hai?
@ramta jogi
*********************************
Childhood | English Poetry
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry
-
Jaane Ka Waqt Aa Raha Hai | Hindi Poem
Jaane Ka Waqt Aa Raha Hai | Hindi Poem
Vo Hawaaon ki bechainyan,
Ab badhne lagi hai.
Vo roz chalte the jinpe, vo rahein,
Ab angdaiyan lene lagi hai.
Shaakhon se gire patte,Ab humse rukhe rukhe se rehte hai,
Vo roz milte the aasmanon mein udte parinde,
Ab humse dur jate rehte hai
Vo maidan pe bichi hari pattiyaan,Ab thodi kathhor si lagne lagi hai,
Vo logon ki hasi, ab kuch aur hi lagne lagi hai
Yahan ki laal deewarein,Ab hume kuch batati nahi hai,
Vo bhoor ki kirne,
Ab hume kuch samjati nahi hai,
Raat ka vo shoor,
Ab shant hone laga hai,
Tha jo kal tak apna,
Vo ab dheere dheere khone laga hai.
Na Jane kyun,Par lagta hai yun,
Ki ab jaane ka waqt aa raha hai
*********************************
Connect to us @
SUBSCRIBE us on Youtube
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry
-
Galat | Hindi Poetry
Best Hindi Poetry – “Galat” – Vblog
Path galat the, Rath galat the,
Jivan me liye sankalp galat the,
Galat tha vo daur, mere liye
Us dur ke waqt galat the
Galat thi vo baarish ki bundein,
Vo lehron ke shoor galat the,
Galat the vo bhoor subah ke andhere,
Vo shaam ke ujale galat the
Galat thi vo apno ki berukhi ,
Vo geron ke apnepan galat the
Galat the vo pyaar bhare afsaane,
Vo nafrat ke zamane galat the
Galat the vo sapne suhaane,
Vo hakikat ke paemane galat the
Galat thi vo sahi soch zindagi ki,
Us sahi soch ke har mayne galat the
@ramta jogi
Best Hindi Poetry – “Galat” – Vblog