-
Pyaar Mein | Hindi Poetry
Pyaar Mein | Hindi Poetry
Pyaar mein zindagi bitane ki,
Anchaai si khwaish hai tujhe paane ki,Apna ek naya jaha banane ki, Anchai si khwaish hai tujhe pane ki
Ek aisi duniya, jisme tera saath ho
Baaho me tum raho khushiyo ki baat ho,
Na dukh ho, Na dard ka ehsaas ho,
Zindagi aisi jiye jisme har-pal khaas ho
Teri hasi se din uge,
Teri khushi se din chale
Tere sone se din dhale
Zindagi ka aisa aaghaaz ho
Har pal me ho tera saath ,
Na ho duriyon ki raat
Har baat me nikle teri baat
Zindagi ke aise alfaaz ho
Tujhse bichaad ne ka na daar rahe,
Tu hi mera hum-safar rahe.
Tere bina na ye kal rahe,
Bas aisi dua meri rahe
Pyaar mein zindagi bitane ki,
Anchaai si khwaish hai tujhe paane ki,
@ramtajogi
Pyaar Mein | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
-
Sharm | Hindi Poetry
Sharm | Hindi Poetry
Dil roya aaj, Aankein nam hai Mard hone pe, Aaj mujhko sharm hai,
Kon thi vo? Ek nanhi pari thi, Jeene ki to bas shruvaat hi ki thi, Na jaan na pehchaan thi, Vo to is duniya se puri tarah anjaan thi Na hi kisi se bheed bhaav Na hi kisi ka mooh tha Fir na jane uska kya dosh tha? .
Dil roya aaj , Saanse theher gai hai, Awaazein uski, Seene me beth gai hai,
Kon thi vo ? Ek nazuk kali thi Bachpan ke sapne, Jawani me pure karne chali thi Ek naya junoon tha, Ek nayi soch thi, Apni hi duniya mein, vo khud hi khush thi Na kisi se bair, na hi kisi pe roosh tha, Fir na jaane uska kya dosh tha?
Kyu unpe haat uthe, Kyu unke vastr utre, Kyu na aaya logo ko unka jeena raas, Kyu ban gaye vo kisi ki hawaas ki pyaas? Kyu unka jeena maut se badtar ho gaya? Kyu kal ugne wala phool, Aaj andhere ki chaadar odh ke so gaya
Kon thi vo? Apni hi maa, Apni hi behen thi, Jeene ki unko bhi bahot lagan thi, Apni khushi me logo ko hosh na tha, Par isme unka kya dosh tha? Dekh ke ye haalat duniya ki meri aankhein bhar ai,
Sudhaar jaoo e duniya walo,Itni achi zindagi hai pai,
Kuch khud ki bhi aabru banooo Paya hai insaan ka sharirZara se insaan ban jaoo….
Sharm | Hindi Poetry
@ramtajogi
*********************************
Connect to us @
-
Dosti | Hindi Poetry
Dosti | Hindi Poetry
Kabhi socha na tha ye manzaar badal jayenge,
Kabhi socha na tha ,yu sapne kho jayenge,
Vo college ke din bade yaad ate hai Aur attith ke panne na chahate hue bhi khul jate hai
Vo 4 saal, Vo 4 yaar
Na din ka thikana tha, Na raato ki fikarJo mila usi ke ho gaye, Duniya se be-khabbar
Roz subah ki chaay se hota tha din shuru, Fir milte the sab dost;aur ho jati thi khus har ruh Din nikalta ek dusre ke baatein sunte sunte, Aur raat nikalti un batton ko yaadon me bunte bunte Yuhi chala hum dosto ka safar, Dost aise bane hum ke hogaye duniya se be- khabar
Waqt bita,Din badle Aur aa gaya vo din, jab bichde hum sab Ye hi nai ai soch ke kya karenge ab? Khud ko sambhala aur badhe age, Par tut na paye vo attith ke dhaage Aaj bhi yaad karke un palo ko ; Ankein nam ho jati hai
Sach me yaaron ,Tumhaari badi yaad ati hai
@ramtajogi
Dosti | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
————————
-
Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
Meri maa, mera tha dosh kya? Tune mujhko kyu na jeene diya?
Meri maa, mera tha dosh kya? Tune mujhko kyu na jeene diya?Teri pyaari thi, Mein dulari thi, Tere aanchal mein, Mene Duniya savaari thi, Phir aise hui mujhse bhool kya, Tune mujhko kyo na jeene diya?
Paida hoti me, Hasti roti me, Tere angaan ko, Khushiyon se piroti mein Fir tujhse ye sukh kyu dekha na gaya? Tune mujhko kyu na jeene diya ?
Padti likhti mein, Age badti mein Apne jivan me, Tera naam roshan karti mein,
Tere dukh ka sahara hoti , Tere sukh me shumaar hoti, Tere jivaan ke har modh pe; Tera mein hathiyaar hoti.Fir bhi tujhse mujhe kyo roka na aya? Tune mujhko kyu na jeene diya?
Janm deti mujhe agar, Saubhagya milta tujhe, Mujhe beti bulane ka, Tera apna saya, Khud ke pass paane ka
Kyu tune vo pal hasil na kiya?
Meri maa,
Tune mujhko kyu jeene na diya ?@ramta jogi
*********************************
Connect to us @
-
Tum Ho | Hindi Poetry
Tum Ho | Hindi Poetry
Tum ho to jannat hai, Tum ho to ronak hai,
Tum ho to duniya mein Jeene ki chahat hai
Tum ho to har pal mein Ek khushi si milti hai
Tum ho to Zindagi Phoolon si khilti hai
Tum ho to begane, Apno se lagte hai
Tum ho har ek pal, Sapno se lagte hai
Tum se to har nafrat, Pyaari ban jati hai
Tumhari har adat, Nyaari ban jati hai
Tumne hi to mujko, Jeena sikhlaya hai
Tum ne hi to mujko, Thoda apnaya hai
Tum hi mere dil mein, Ek sukoon sa lati ho,
Tum hi mere liye, Zindagi ban jati hooo.
Is bhagti si duniya mein, Tum hi ek theraav ho,
Jiske bharose guzar jaye zindagi,Aisi tum naav hooo
@ramtajogi
Tum Ho | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @