कश्मकश |Hindi Poetry
कश्मकश | Hindi Poetry
Bhula nai mein use
Ab bas yaad nahi karta !!
Un lamhon ko fir jeene ki,
Ab fariyaad nahi karta.
Jab uski hasi ki kami khalti hai,
Hasi ke naye beej bo deta hun,
Mayus hota hun, yaadon mein jab,
To panno par hi ro deta hun,
Uski aadat to hai jeenme aaj bhi mere,
Par zehen mein use ab mehsus nahi karta,
Bhula nai mein use,
Ab bas yaad nahi karta !!
Uska khayal jab ata hai,
Unhe khayalon mein kho deta hun,
Jab puchta hai vo sawal mujhse,
To use jawaabon ko saup deta hun,
Dikhta nahi kahin vo mujhe ab,
Na hi ab main use milne ki ummed hu rakhta,
Bhula nai mein use
Ab bas yaad nahi karta !!
Vo jo tha nahi mera, use khone ka gham kya,
Jo likhi gai thi kisson mein,
Us kahaani ka hota hi ant kya?
Mila jo rahon mein, vo rahoon mein hi choot gaya,
Chauhrahe pe kahin, vo alag raston pe mud gaya,
Vo dekh piche de gaya, ek muskaan,
Rakta hun use apne seene mein, par uske ab khwaab nahi dharta,
Bhula nai mein use
Ab bas yaad nahi karta !!
कश्मकश | Hindi Poetry
@ramta jogi
*********************************
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry