POETRY

Poems- Poetry- Hindi - English Life never rhymes, but poetry does. It soothes our hearts. Sometimes medicine and sometimes a meditation; poetry never fails to impress. This segment comprises of poetry by Ramta Jogi. It deals with Hindi and English languages Check out my other pages

My works on the website:- Quotes- Poetry- Book Review- Stories - Best Content Creator

YouTube Channel:- Aakash Joshi

Facebook Page:- Ramta Jogi

Instagram Page:- Login • Instagram

  • POETRY

    The glimpse of life | Hindi Poetry

    The glimpse of life | Hindi Poetry

    Chalte chalte raah pe jab nikla me,
    Duniya ki bheed bhaad me akela me,

    Na gumsum, na udaas tha,

    Mera to apni hi duniya pe raaj tha,

    Manzil pe pahuchna ka junoon tha,

    Meri zindagi ka to ek alag hi sukoon tha,
    Dekha jab logon ko jhagadte hue,

    Samaj raha tha me logon ko samajte hue,

    Pata nai tha daulat se riste bhulyae jate hai,

    Pata nai tha daulat se apne paraye ho jate hai,

    Dekha unhe to dukh hua, Mera to apni manzil ki taraf rukh hua,


    Badha me age,

    To dekha kitne akele hai log har taaf,

    Kitne dukhi hai log khud hi khud me,

    Apne se hare hue hai,

    zindagi ke is yudh me,

    Dekh ke unhe mujhe samaj na aya,

    Kyo logon ne itna dard hai paya,

    Kyo vo khush nai hai,

    apne khushiyon mein

    ,Kyo unhe sirf apna dukh hi nazaar aya,

    Dekha unhe to dukh hua, Mera to apni manzil ki taraf rukh hua


    Badha manzil ki aur to dekha mene,

    Kaise dushman bane apne,

    Kaise  pyaar mar chuka hai,Kaise apno se hi har insaan,

    aaj dar chuka hai

    Dekha unhe to dukh hua, Mera to apni manzil ki taraf rukh hua


    Age badha to ek dar aya,

    Mene khud ko ek daldal me paya,

    Socha niklu yaha se kaise ,

    Socha ab naseeb age kya hai laya.

    Hausle se junoon se,Me to badha age,

    apni hi dhoon me,

    Mehnat karte karte, jab manzil churai,

    To apne chere pe ek alag si khushi pai,
    Badte badte age sikha mene,

    Kaise ek khushi se chalta hai sansaar,

    Khus rehne me aur khushi dene me kaise badta hai pyaar.

    Log kahe kuch bhi, mene to sikhi ek sachaai ,

    Chooti chotti khushiyon me mene to khushi hai pai…

     @ramta jogi

    The glimpse of life | Hindi Poetry

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on The glimpse of life | Hindi Poetry
  • Friendship | Hindi Poetry
    POETRY

    Friendship | Hindi Poetry

    Friendship | Hindi Poetry

    Hui roshni, hua saveera,  Aankh khuli to dikha vo khuda mera,  Socha us se mangu dua, Karu koi fariyaad, Kya mangu ? Kya mangu ? Sochte sochte kiya

    Tujhko yaad.
    Tu – Jo hai mera,

    Jispe hai meri zindagi ka dera, Jisne mujhe apnaya hai, Jeene ka naya hi tarika sikhlaya hai

    Har sahi baat pe danta , aur galat kaam pe ucha chadaya hai Badmashi me kabhi akela na rehne diya, Hamesha khudko mera saathi hi bataya hai,
    Tu mujhse dur bhi hua, Par fir bhi paas tha, Tere na hone ka mujhe kabhi na aabhas tha,  Yaar Tu mera hi yaar hai Hamesha ye ehsaas tha,
    Chalte chalte samay ke saath , Tera saath chalta gaya, Tu mila tha anjaan bankaar, Par mera yaar-dildaar banta gaya,
    Mene jaha payi teri surat, Vahi ban gaya aashiya mera,

     Jaha mujhe teri rooh takraii,

    Mil gaya vaha mujhe mera jahaan
    Tere saath hone se khila hu mein , 
    Teri wajah se khud se hi mila hu mein Teri dosti ne dikhi mujhe apni parchaai, Zindagi ke har mudaav pe ,mene kabhi na koi kami pai, 

    Tu hai to mein hu, Kahi mujhme hi hai tu Tera saat se hi khada hu  main
    Apni Dosti ko mein Ibaadat ka darja deta hu
    Rehna sada tu mera dost, dua ye hi karta rehta hu

    @ramtajogi


    Happy Friendship Wala Day



    To those who were there to believe, To those who were my relief,
    Those who faced the life as I did, Who believed in the life I lived,
    Who laughed at me, who laughed with me, Who planned their life with my destiny,
    Who gave me stress, who gave me pain, Who was there to balance for the same who stood for me, never misunderstood me,
    Who taught me to live, taught me to love, taught me to be strong, In any way the life evolves,
    To those, who promised me to be there, Whenever life gets difficult to bear
    Who taught me the meaning of FRIENDSHIP, Then taught me that life just better when travelled in the same ship,

    I don’t know life would have been what? Better or fair? IF you were not there? But neither do I need to think that, nor did I want to care?
    Because you were, you are and you will be there.
    @ramtajogi

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry


    Comments Off on Friendship | Hindi Poetry
  • Dosti | Hindi Poetry
    POETRY

    Dosti | Hindi Video Poetry

    Dosti | Hindi Poetry

    Saloo se  jo bitai ha vo zindagi dohrata hu,
    Aaj phir se tumhe me, apni dosti ki kahani batlata hu,

    Vo dosti, jo ek fasana tha, Hamare liye to jine ka bahaana tha,
    Vo dost bhi  kya dost the yaaroo:
    “ Sare rista nate bhulaye the, Har taklif me apne haath age badhaye the,

    Zindagi ke har lutf unhi ke saath uthaye the Aur  har kharab waqt me bhi, jinhone bharose dilaye the,
    Un doston ke saath,
    Din bhar ki masti thi, Dekhte hi unko rooh hasti thi, kuch ko gaane,to kuch ko bajane ka shouk tha kuch ko,padne kato ko aaram farmane ka shok tha,
    Milte the roz to din khil jate the, Ek dusre se baato me sare mausam badal jate the, Na din ka khayaal rehta tha, Na hi raat ki parvaah, Ek dusre me na jane kitne kho jate the,
    kabhi kabar clg ke undar bhi jana ho jata tha, Aur  kabh kabar sir se daatt khana bhi ho jata tha, kabhi kabhi kuch jhagde bhi hote the, Aur kuch logo ke to lafde bhi ho jate the,
    Har kisi ki birthday party manate the Aur isi bahane se vapas clg nai jate the,

    Kabhi kisi  ke sath picture dekhne chale jate the,  To kabhi kisi ko dukh se bahar nikalne ke liye, Koi natak dohrate the,
    Har ladki ko kisi na kisi ki “BHABHI” batate the, Aur na jane kitni ladkio ko apna “true love “kehlate the,
    Padhai  to sirf xam k ek din pehle hua karti thi, Par uske liye bunk to mahino pehle se mare jathe the, Aise hi chalte chalte, ek aant samay aya, Aur tab sabne khud ko bada akela paya,
    Din tha bichadne ka ye samaj na aya,

    Aur waqt chalta chalta chala gaya.

    Aur dekhte hi dekhte sab alag sa paya,
    Dhere Dhere zindagi ne Jine ka tarika sikhlaya, Aur humne khud ko uski daldal me fasa hua paya

    Ab akele hi jiya karte haidosto ki kami ko mehsus kiya karte hai,
    Aaj yaad aa gai un dosto ki,


    “Dost shabd jinke  liye choota sa lagta hai,Jin logo ke khuuda ka darza dene ka man karta hai”


    Me hun Jogi, aur lika hai ye apne dosto ke naam, Me nai bhula hu tumhe ye hai tumhare liye mera paigaam.

    @ramtajogi

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry


                           

    Comments Off on Dosti | Hindi Video Poetry
  • The Love- A short sweet saga | English Poetry
    POETRY

    The Love- A short sweet saga | English Poetry

    The Love- A short sweet saga | English Poetry

     Love a single word,                           

    All have heard
    Difficult to understand,                           

    Hard to withstand
     Entered my life, in the form of you,                     

    Made my life a better view
    The sadness, the aches,                               

    The sorrows, the pain
    All Left me,
    In no time span, life was filled with laughter and smiles                                It was you, who made it worthwhile

    “Love defined in many ways,                 
    All end in the same
    For me, it was just you,                            And for the rest of life it will remain the same.”

       @ramtajogi                

    The Love- A short sweet saga | English Poetry                    

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on The Love- A short sweet saga | English Poetry
  • Udaas | Hindi Poetry
    POETRY

    Udaas | Hindi Poetry

    Udaas | Hindi Poetry

    Aaj dil Udaas hai,Jane kya raaz hai,

    Aankein nam hai,

    Dil me Aas hai,

    Hoto pe sabd nai,

    Phir bhi sine me pyaas hai

    Aaj dil udaas hai,

    Koi mere bhi Log Apne the,

    Kuch mere bhi hasin sapne the,

    Koi apne paraye hue,

     Kuch sapno ko vo bhula gaye

    Is se dil ko laga ek aaghaat hai,

    Aaj dil udaas hai

    Vo apne aaj apni hi dniya mein kho gaye hai,

    Vo sapne fir se sapno me jake soo gaye hai 

    Pehle ek dosti,ek pyaar tha,

    Ek dussre ke undaar basta sansaar tha,

    Aaj sabko fikr to bas apni bhuk, apni pyaas hai,

    Aaj dil udaas hai


    Aaj hum apne aap ko bhulaye hue se ho gaye hai,

    Khud ke hi sataye hue se ho gaye hai

    Ab na to kisi se pyaar,

    Na hi kisi ke dard ka koi ehsaas hai

                                        Aaj dil udaas hai

    Udaas | Hindi Poetry

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe