Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry
Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry
Vo kisse vo baatein, Vo sang beti hui yaadein
Vo nyaari si hasi, Vo pyaar ki saugaatein Aao dahurayein firse vo pal,
Kuch tum kuch hum
Vo ruthna vo manana, Vo pyaar se jhalaana Vo der raat ki baatein, Vo subah fir yaad aana Aao gaye firse vo sargam ke kal,
Kuch tum kuch hum
Vo mausam ka rukh modna, Vo dil ka dil ko todna Vo umeed ki rahoon se, Umeedon ka saath chodna Vo hasi chehre pe, Vo behrukhi undar Vo sanaton ki aahatein, zindagi mein gholna, Vo haathon ki lakirein, hatheli se mit jana Vo khud ka khud se hi toot jana Aao bhulayein vo dard bhare mausam,
Kuch tum, kuch hum
Aao fir ek dusre se anjaan ho jayein, Pehle ki tarah naadan ho jayein Mein fir tumhne pane ki chahat rakhun, Tum fir mujhe inkaar karo Mein umar guzaaron intzaar mein, Ab Tum intezaar ka aitbar karo Is baar samaj jao mujh ko tum, Mujhe pane ki fariyaad karo Haath badhao age, saath dene ko, Saath chalne ko mere, tum aahyein bharo Aao Apni ek alag duniya mein nikal jaye hum,
Kadam badhao, Kuch tum, kuch hum
@ramta jogi
Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @