Itvaar(Sunday) | Hindi Poetry
Itvaar(Sunday) | Hindi Poetry
Pehle jaisa ab vo ITVAAR nai ata,
Sukun ki bhoor ka ab vo dedaar nai ata.
Ek waqt tha jab kisi ki Hasi se ruh khilti thi,
Milke use, rab ki inaayat milti thi,
Waqt rukh jata tha us chehre ke deedaar mein,
Sadiyaan beet jati thi, us chehre ke pyaar mein,
Aaj bhi khoobsurat chehron ka deedaar ho jata hai,
Man behlane ka, hasne gaane ka, karoobaar ho jata hai,
Par pehle jesa ab kisi pe vo kisi pe pyaar nai ata,
Pehle jesa ab vo ITVAAR nai ata.
Vo dil se apnana aur zubaan se galiyana aur tha,
Vo apno ka afsaana, vo dosti ka zamana aur tha,
Dil se milte the dil,yaaron ka yaarana khilta tha,
Kitne bhi ho jayein bade,
Sukun us bachpane ki yaari mein hi milta tha,
Dilon ke dard sang batiyaye jate the,
Khushi ke pal sang kaate jate the,
Ek duje ke liye na kisi ke man mein paap tha,
Ek duje ke liye, har ek ka man aine ki tarah saaf tha,
Aaj bhi jab jaam se jaam takrate hai,
Nashe mein naye yaar zarur ban jate hai,
Dosti bhi hoti hai, Mauj masti bhi hoti hai,
Par pehle jesi yaari ki tarah,
kinhi yaaron pe ab vo aitbaar nai ata,
Pehle jesa ab vo ITVAAR nai ata.
Na ab vo pehle jesi subah rahi hai,
Aur Na vo pehle jesi shaam rahi,
Na hi Jo ati thi Chehron pe un Dino,
Vo pyaari si sachi muskaan rahi,
Sabke saath chalte chalte hum kho jate hai,
Din dhalne ke saath, andhere mein so jate hai,
Maujhon ke sahaare se maanjhi kinaare se mil jata hai,
Par kinaare pe ab vo pehle jesa khushiyon ka manzar nazar nai ata.
Pehle jesa ab vo ITVAAR nai ata
@रमता जोगी।
*********************************
Connect to us @
For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry