• Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
    POETRY

    Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry

    Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry

    Meri maa, mera tha dosh kya?  Tune mujhko kyu na jeene diya?
    Meri maa, mera tha dosh kya?   Tune mujhko kyu na jeene diya?

    Teri pyaari thi, Mein dulari thi, Tere aanchal mein, Mene Duniya savaari thi, Phir aise hui mujhse bhool kya,  Tune mujhko kyo na jeene diya?

    Paida hoti me,  Hasti roti me, Tere angaan ko, Khushiyon se piroti mein Fir tujhse ye sukh kyu dekha na gaya? Tune mujhko kyu na jeene diya ?


    Padti likhti mein, Age badti mein Apne jivan me, Tera naam roshan karti mein,
    Tere dukh ka sahara hoti , Tere sukh me shumaar hoti, Tere jivaan ke har modh pe; Tera mein hathiyaar hoti.

    Fir bhi tujhse mujhe kyo roka na aya? Tune mujhko kyu na jeene diya?

    Janm deti mujhe agar, Saubhagya milta tujhe, Mujhe beti bulane ka, Tera apna saya, Khud ke pass paane ka

    Kyu tune vo pal hasil na kiya?
    Meri maa,
    Tune mujhko kyu jeene na diya ?                

      @ramta jogi

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
  • Tum Ho | Hindi Poetry
    POETRY

    Tum Ho | Hindi Poetry

    Tum Ho | Hindi Poetry

    Tum ho to jannat hai,                  Tum ho to ronak hai,
    Tum ho to duniya mein               
    Jeene ki chahat hai
    Tum ho to har pal mein
    Ek khushi si milti hai

    Tum ho to Zindagi         
    Phoolon si khilti hai
    Tum ho to begane,        
    Apno se lagte hai
    Tum ho har ek pal,            
    Sapno se lagte hai
    Tum se to har nafrat,         Pyaari ban jati hai
    Tumhari har adat,               
    Nyaari ban jati hai
    Tumne hi to mujko,           
    Jeena sikhlaya hai
    Tum ne hi to mujko,             Thoda apnaya hai
    Tum hi mere dil mein,         Ek sukoon sa lati ho,
    Tum hi mere liye,              
    Zindagi ban jati hooo.
    Is bhagti si duniya mein,         
    Tum hi ek theraav ho,
    Jiske bharose guzar jaye zindagi,           

    Aisi tum naav hooo

    @ramtajogi

    Tum Ho | Hindi Poetry

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

  • Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry
    POETRY

    Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry

    Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry

    Mein apne hi ghar ka Mehmaan ban chukka hun,
    Jana pehchana ek Anjaan ban chuka hun.

      Kuch roz ata hun,
      Hasta hun, gaata hun,
      Apno ke saath ghul mil jata hun,
      Kuch Nain aasuon se khilte hai,
      Kuch ashq hasi mein milte hai,
      Un khooshiyoon ka mein bas ek kadardaan ban chukka hun,
    Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun.


     Apne kamre mein jata hun,
     Vo diwaaron pe lagi, kal ki yaadon ko aaj mein jeena chahta hun.
     Vaha, mere bete dinon ke shoor sunai dete hai,
     Mere sukoon ke bhoor, angdai lete hai,
     Khidki se galiyon ke nazare dikhai padte hai,
     Pass pados ke jhadgde sunai padte hai,
     Vo samane wale pedh ki daali ab jhuki jhuki si lagti hai,
     Vo chourahey pe jalti batiyan, thodi bhuji bhuji si lagti hai, Hai to pehle jesa hi sab,  Par mere saath thode se naraaz hog gaye hai,

    In sab ke liye mein ab ek begaana insaan ban chukka hun, Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun.

     Is bhaagti daudti zindagi mein,
     Paa to raha hun kuch,
     Saath mein bahot kuch khota ja raha hun,
     Zindagi jinhoone di, unhi se dur mein hota ja raha hun,
     Apne sapne paakar bhi,
     Khushi kam hi rehti hai,
     Itne Logon se milta hu roz,
     Fir bhi Aankhein nam hi rehti hai,

     Chaahton ke piche bhagte bhagte,
     Zaruratein bhul raha hun,
     Log sochenge kya,
     Isi soch mein jhul raha hu, Duniya ka pyaar pane ki daud mein,
     Khud se pyaar karna bhul chukka hun,

    Aisi zindagi mein, mein khud pe hi ek ehsaan ban chukka hun,Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun,
    Jana pehchana ek anjaan ban chuka hun.                                                            @ramta jogi

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry
  • Vo Ghar yaad aata hai | Hindi Poetry
    POETRY

    Vo Ghar Yaad aata hai | Hindi Poetry

    Vo Ghar yaad aata hai | Hindi Poetry

    Vo galiyan, vo chaubaarey, Vo, jaha rehte hai mere apne pyaare,
    Jaha beete mere bachpan ke vo suhaane din,

    Jaha saje jawaani ke mere kisse nyre,
    Vo Sab mere hai,Mein unka hu,
    Khoya hu aaj bhi unme Bas dur jaake kahi kisi kone mein soya hu,


    Kuch nai bhula mein, Sab yaadein aaj bhi mere andar samai hai, Sard raaton mein,us razaai ke bheetar, Roz mujhe un apno ki yaad ai hai,
    Par kuch paane ki chaahat mein thoda kho sa gaya hu,

    Apno ke sapne pure karne mein, Mein apno ki hi soch mein, begaano sa ho gaya hu, Samjata hu unhe, Nai mere jazbaat aise hai, Waqt ka padhaav aisa hai, Jaha mere haalaat aise hai,
    Din ke ujaalon mein bhi, andhera sa chaaya hai,

    Us ghar ki Yaad ate hi, Ashq aankhon se bahaar nikal aya hai, Sab kuch paakar bhi,
    Dil adhura sa hi reh jata hai,
    Vo khidki ,chaubaaron wala mera ghar,

    Vo ghar mujhe bada yaad ata hai.

    @ramtajogi

    Vo Ghar yaad aata hai | Hindi Poetry

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on Vo Ghar Yaad aata hai | Hindi Poetry
  • Kuch Tum, Kuch Hum | Hindi Poetry
    POETRY

    Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry

    Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry

    Vo kisse vo baatein, Vo sang beti hui yaadein
    Vo nyaari si hasi, Vo pyaar ki saugaatein Aao dahurayein firse vo pal, 

    Kuch tum kuch hum

    Vo ruthna vo manana, Vo pyaar se jhalaana Vo der raat ki baatein, Vo subah fir yaad aana Aao gaye firse vo sargam ke kal, 

    Kuch tum kuch hum

    Vo mausam ka rukh modna, Vo dil ka dil ko todna Vo umeed ki rahoon se, Umeedon ka saath chodna Vo hasi chehre pe, Vo behrukhi undar Vo sanaton ki aahatein, zindagi mein gholna, Vo haathon ki lakirein, hatheli se mit jana Vo khud ka khud se hi toot jana Aao bhulayein vo dard bhare mausam, 

    Kuch tum, kuch hum

    Aao fir ek dusre se anjaan ho jayein, Pehle ki tarah naadan ho jayein Mein fir tumhne pane ki chahat rakhun, Tum fir mujhe inkaar karo Mein umar guzaaron intzaar mein, Ab Tum intezaar ka aitbar karo Is baar samaj jao mujh ko tum, Mujhe pane ki fariyaad karo Haath badhao age, saath dene ko, Saath chalne ko mere, tum aahyein  bharo Aao Apni ek alag duniya mein nikal jaye hum, 

    Kadam badhao, Kuch tum, kuch hum
    @ramta jogi

    Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry

    *********************************

    Connect to us @

    Facebook:

    Instagram:

    Youtube

    Ramta Jogi Poetry

    Comments Off on Kuch tum, kuch hum | Hindi Poetry
Follow us

Subscribe