Dosti | Hindi Poetry
Dosti | Hindi Poetry
Kabhi socha na tha ye manzaar badal jayenge,
Kabhi socha na tha ,yu sapne kho jayenge,
Vo college ke din bade yaad ate hai Aur attith ke panne na chahate hue bhi khul jate hai
Vo 4 saal, Vo 4 yaar
Na din ka thikana tha, Na raato ki fikarJo mila usi ke ho gaye, Duniya se be-khabbar
Roz subah ki chaay se hota tha din shuru, Fir milte the sab dost;aur ho jati thi khus har ruh Din nikalta ek dusre ke baatein sunte sunte, Aur raat nikalti un batton ko yaadon me bunte bunte Yuhi chala hum dosto ka safar, Dost aise bane hum ke hogaye duniya se be- khabar
Waqt bita,
Din badle Aur aa gaya vo din, jab bichde hum sab Ye hi nai ai soch ke kya karenge ab? Khud ko sambhala aur badhe age, Par tut na paye vo attith ke dhaage Aaj bhi yaad karke un palo ko ; Ankein nam ho jati hai
Sach me yaaron ,
Tumhaari badi yaad ati hai
@ramtajogi
Dosti | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
————————