https://depositphotos.com/photos/tears.html
POETRY

आंसू : Tears: Hindi Poetry on Love, Relations and Sorry

आंसू : Tears: Hindi Poetry on Love, Relations and Sorry

Tumhare girte aansu agar mein dekh leta,
To mein ro deta.
Vo ashq Jo meri wajah se,
Teri aankhon se chalke honge,
Unhe mujhse kitne gile shikve honge.
Ek jhapki mein jab vo palkon se lipte honge,
Nam ho gayi hogi vo palkein bhi,
Itni mayusi se mere kisse jo use kahe honge.
Girte girte jab vo tere chehre se takrayein honge,
Hasi cheen li hogi unhone,
Aur sun kar vajah, vo hoth bhi murjayein honge.
Tumhare is dhalte chehre ko agar mein dekh leta,
To mein ro deta.

Kyu ki
Aansu rishton ki vo kamayi hai,
Jo aankhon mein sirf apno ke liye samayi hai,
Aur tumhara Dil tod kar agar ye kamayi mein kharch kar deta,
To mein ro deta.
Is khayal ko mein apni soch me agar panapne deta,
To mein ro deta.

For more such work, read Ramta Jogi

Image courtesy: Deposit

Follow us

Subscribe