Kyu? | Hindi Poetry
Kyu? | Hindi Poetry
Zindagi yu uljhi-uljhi Si Kyun Hai ?
Akelepan Mein Yu Bhujhi- Bhujhi Si Kyun Hai ?
Kyu Ise Age Ane wale kal ki Chinta Hai ?
Kyu is Zindagi Mein Ek Namnta Hai ?
Kyu Chehron Pe Hasi Ek Dikhava sa hai ?
Kyu aankhon mein khushi bas Ek Chalaava sa hai ?
Kyu apno se hum Door ho gaye hai ?
Kyu Is Waqt ke haaton Majboor ho gaye hai ?
Kyu har ghadi hume kisi aur ki Sooch hai ?
Kyu hum usi soch mein Madhosh hai ?
Kyu har Aanth ke baad Shuruvaat vahin se hoti hai ?
Kyu har din ke baad, ye Raat vahin pe soti hai?
Kyu bas Sansein chal rahi hai, Aur zindagi tham gai hai ?
Kyu apne aap mein hi yeh band gai hai ?
Kyu saalon se adhure aarman khoote ja rahe hai ?
Kyu hum is jaahan mein rehte hue bhi dur hote ja rahe hai ?
Kyu na Apne Bitee hue waqt ko Na yaad kare ,
Kyu na Zindagi ki ek nayi Shuruvaat kare,
Kyu Na Jeeyein Zindagi apni Khushi se,
Aur Payein Khushi apni Zindagi se….
@ramta jogi
*********************************
Connect to us @