Ek Pagli Si Ladki | Hindi Poetry
Ek Pagli Si Ladki | Hindi Poetry
Vo Hasti hai, Hasati hai Apni Aakhon se Batiya ti hai, Ajeeb aadaton se apni, Hume pyaar karvati hai Mukh kholti hai apna jab bhi, To kuch Anokhi Baatein hi Sunati hai Umaar Beet Jay Sunte Sunte Use, Kuch Aisa mehsoos karvati hai
Ek pagli si ladki hai vo, Jo is Dil ko bada Lubhaati hai.
Haath uske nazuk se,
Komal uske paanv hai
Makhmali se gaal uske,
Anokhe uske baal hai,
Dikhne ko to dikhti hai achi,
Par us se bhi kai zyada to vo itrati hai
Ek pagli si ladki hai vo, Jo is dil ko bada Lubhaati hai.
Bachhon jesi Zid hai usme Badon jesi samajdhaari hai Rehti hai apni 3 sakhiyon ke beech Sabse pyaari usko vo yaari hai Jab bhi hoti hai sang unke Khushi se jhoom jaati hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai
Ek Alag si Masumiyat hai Ek Alag sa hai bhoolapan Khush hoti hai to karti Jag Roshan Dukh mein Roye Man hi Man Apne Ehsaason ko, Apne cheere pe nai laati hai
Ek Pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai
Kabhi kabhi roothti bhi hai vo, Kabhi kabhi jhunjhlati bhi hai Gussa karti hai jab bhi, Awaaz aur surat uski aur pyaari ban jaati hai Mein manata hu jab bhi usse, To aur gussa ho jati hai Kuch der Tadpa ti hai, Kuch der Tarsa ti hai Fir apne aap haske maan bhi jaati hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.
Milti hai jab bhi mujhse , Saare gum bhula deti hai Zindagi mein khush rehne ki, Ek nayi vajah deti hai Pyaar to jyada nai hai mujhse, Par thoda bahot apnapan jata deti hai
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.
Us pagli ko hasana acha lagta hai Uske dukh bhulana acha lagta hai Umar bit jay sang uske, Vo sapna suhaana lagta hai Par jab bhi karta hu sang jeene ki baat, To sidhe inakaar kar deti hai Kehti hai,Waqt nai hai, Haalat nai hai Mere dil mein abhi vo jasbaaat nai hai Samjata hu us pagli ko, Rukh ja kuch pal aur Waqt ho, Nasseb ho ya fir ho koi apni soch, Sab badalti hai zarur ek roz, Par meri baatein vo naadan samaj nai paati hai,
Ek pagli si ladki hai vo Jo is dil ko bada Lubhaati hai.
Jab nai hoti saath mere, Adhure se ho jate hai haalat mere,
Ek tanhaai chaa jati hai, Cheere pe ek mayusi si aa jati hai Yun to hai kai log jeene ke liye fir bhi, Uske bina Zindagi khali si ban jaati hai, Sab samajti bhi hai, Par khud ko samjaana nai chaahti hai
Ek Aisi vo paagli Ladki hai, Jo is dil ko bada Lubhaati hai
——— @ramta Jogi
*********************************
Connect to us @