POETRY
Poems- Poetry- Hindi - English Life never rhymes, but poetry does. It soothes our hearts. Sometimes medicine and sometimes a meditation; poetry never fails to impress. This segment comprises of poetry by Ramta Jogi. It deals with Hindi and English languages Check out my other pages
My works on the website:- Quotes- Poetry- Book Review- Stories - Best Content Creator
YouTube Channel:- Aakash Joshi
Facebook Page:- Ramta Jogi
Instagram Page:- Login • Instagram
-
The regrets of life | English Poetry
The regrets of life | English Poetry
A Life Bounded With Regret,
Each Regret Always a Secret
The Regrets Neither knew Nor Described,
It was Only Later that they were realisedRegrets always hard to refrain,
Difficult to sustain
Still remains its effect
In the small looking heartThe regrets of life,
We desired to live.
Regrets of the dream,
We dreamt to achieve.
The regret of the idea,
We thought to pursue.
Regrets of the pain,
We wanted to rescue.
Regrets Of the Laugh,
Which lasted for a short while;
Regrets of pleasures,
Which ended in no time.
The regrets of loss,
The loss of love;
The feel to love,
The feel to be loved.
Regrets of the efforts,
Which could have been more,
Regrets of the problems,
Which could have been solved.
Regrets of the feel,
Which could have been felt
And Lastly
Regrets of the End,
Which could have been changed@ramtajogi
The regrets of life | English Poetry
*********************************
Connect to us @
-
Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
Bhrun Hatya (Female Foeticide) | Hindi Poetry
Meri maa, mera tha dosh kya? Tune mujhko kyu na jeene diya?
Meri maa, mera tha dosh kya? Tune mujhko kyu na jeene diya?Teri pyaari thi, Mein dulari thi, Tere aanchal mein, Mene Duniya savaari thi, Phir aise hui mujhse bhool kya, Tune mujhko kyo na jeene diya?
Paida hoti me, Hasti roti me, Tere angaan ko, Khushiyon se piroti mein Fir tujhse ye sukh kyu dekha na gaya? Tune mujhko kyu na jeene diya ?
Padti likhti mein, Age badti mein Apne jivan me, Tera naam roshan karti mein,
Tere dukh ka sahara hoti , Tere sukh me shumaar hoti, Tere jivaan ke har modh pe; Tera mein hathiyaar hoti.Fir bhi tujhse mujhe kyo roka na aya? Tune mujhko kyu na jeene diya?
Janm deti mujhe agar, Saubhagya milta tujhe, Mujhe beti bulane ka, Tera apna saya, Khud ke pass paane ka
Kyu tune vo pal hasil na kiya?
Meri maa,
Tune mujhko kyu jeene na diya ?@ramta jogi
*********************************
Connect to us @
-
Tum Ho | Hindi Poetry
Tum Ho | Hindi Poetry
Tum ho to jannat hai, Tum ho to ronak hai,
Tum ho to duniya mein Jeene ki chahat hai
Tum ho to har pal mein Ek khushi si milti hai
Tum ho to Zindagi Phoolon si khilti hai
Tum ho to begane, Apno se lagte hai
Tum ho har ek pal, Sapno se lagte hai
Tum se to har nafrat, Pyaari ban jati hai
Tumhari har adat, Nyaari ban jati hai
Tumne hi to mujko, Jeena sikhlaya hai
Tum ne hi to mujko, Thoda apnaya hai
Tum hi mere dil mein, Ek sukoon sa lati ho,
Tum hi mere liye, Zindagi ban jati hooo.
Is bhagti si duniya mein, Tum hi ek theraav ho,
Jiske bharose guzar jaye zindagi,Aisi tum naav hooo
@ramtajogi
Tum Ho | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @
-
Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry
Apne Ghar Ka Mehmaan | Hindi Poetry
Mein apne hi ghar ka Mehmaan ban chukka hun,
Jana pehchana ek Anjaan ban chuka hun.
Kuch roz ata hun,
Hasta hun, gaata hun,
Apno ke saath ghul mil jata hun,
Kuch Nain aasuon se khilte hai,
Kuch ashq hasi mein milte hai,
Un khooshiyoon ka mein bas ek kadardaan ban chukka hun,
Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun.
Apne kamre mein jata hun,
Vo diwaaron pe lagi, kal ki yaadon ko aaj mein jeena chahta hun.
Vaha, mere bete dinon ke shoor sunai dete hai,
Mere sukoon ke bhoor, angdai lete hai,
Khidki se galiyon ke nazare dikhai padte hai,
Pass pados ke jhadgde sunai padte hai,
Vo samane wale pedh ki daali ab jhuki jhuki si lagti hai,
Vo chourahey pe jalti batiyan, thodi bhuji bhuji si lagti hai, Hai to pehle jesa hi sab, Par mere saath thode se naraaz hog gaye hai,
In sab ke liye mein ab ek begaana insaan ban chukka hun, Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun.
Is bhaagti daudti zindagi mein,
Paa to raha hun kuch,
Saath mein bahot kuch khota ja raha hun,
Zindagi jinhoone di, unhi se dur mein hota ja raha hun,
Apne sapne paakar bhi,
Khushi kam hi rehti hai,
Itne Logon se milta hu roz,
Fir bhi Aankhein nam hi rehti hai,
Chaahton ke piche bhagte bhagte,
Zaruratein bhul raha hun,
Log sochenge kya,
Isi soch mein jhul raha hu, Duniya ka pyaar pane ki daud mein,
Khud se pyaar karna bhul chukka hun,
Aisi zindagi mein, mein khud pe hi ek ehsaan ban chukka hun,Mein apne hi ghar ka mehmaan ban chukka hun,
Jana pehchana ek anjaan ban chuka hun. @ramta jogi*********************************
Connect to us @
-
Vo Ghar Yaad aata hai | Hindi Poetry
Vo Ghar yaad aata hai | Hindi Poetry
Vo galiyan, vo chaubaarey, Vo, jaha rehte hai mere apne pyaare,
Jaha beete mere bachpan ke vo suhaane din,Jaha saje jawaani ke mere kisse nyre,
Vo Sab mere hai,Mein unka hu,
Khoya hu aaj bhi unme Bas dur jaake kahi kisi kone mein soya hu,
Kuch nai bhula mein, Sab yaadein aaj bhi mere andar samai hai, Sard raaton mein,us razaai ke bheetar, Roz mujhe un apno ki yaad ai hai,
Par kuch paane ki chaahat mein thoda kho sa gaya hu,Apno ke sapne pure karne mein, Mein apno ki hi soch mein, begaano sa ho gaya hu, Samjata hu unhe, Nai mere jazbaat aise hai, Waqt ka padhaav aisa hai, Jaha mere haalaat aise hai,
Din ke ujaalon mein bhi, andhera sa chaaya hai,Us ghar ki Yaad ate hi, Ashq aankhon se bahaar nikal aya hai, Sab kuch paakar bhi,
Dil adhura sa hi reh jata hai,
Vo khidki ,chaubaaron wala mera ghar,Vo ghar mujhe bada yaad ata hai.
@ramtajogi
Vo Ghar yaad aata hai | Hindi Poetry
*********************************
Connect to us @