Udaas | Hindi Poetry
POETRY

Udaas | Hindi Poetry

Udaas | Hindi Poetry

Aaj dil Udaas hai,Jane kya raaz hai,

Aankein nam hai,

Dil me Aas hai,

Hoto pe sabd nai,

Phir bhi sine me pyaas hai

Aaj dil udaas hai,

Koi mere bhi Log Apne the,

Kuch mere bhi hasin sapne the,

Koi apne paraye hue,

 Kuch sapno ko vo bhula gaye

Is se dil ko laga ek aaghaat hai,

Aaj dil udaas hai

Vo apne aaj apni hi dniya mein kho gaye hai,

Vo sapne fir se sapno me jake soo gaye hai 

Pehle ek dosti,ek pyaar tha,

Ek dussre ke undaar basta sansaar tha,

Aaj sabko fikr to bas apni bhuk, apni pyaas hai,

Aaj dil udaas hai


Aaj hum apne aap ko bhulaye hue se ho gaye hai,

Khud ke hi sataye hue se ho gaye hai

Ab na to kisi se pyaar,

Na hi kisi ke dard ka koi ehsaas hai

                                    Aaj dil udaas hai

Udaas | Hindi Poetry

*********************************

Connect to us @

Facebook:

Instagram:

Youtube

Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe