Dosti | Hindi Poetry
POETRY

Dosti | Hindi Video Poetry

Dosti | Hindi Poetry

Saloo se  jo bitai ha vo zindagi dohrata hu,
Aaj phir se tumhe me, apni dosti ki kahani batlata hu,

Vo dosti, jo ek fasana tha, Hamare liye to jine ka bahaana tha,
Vo dost bhi  kya dost the yaaroo:
“ Sare rista nate bhulaye the, Har taklif me apne haath age badhaye the,

Zindagi ke har lutf unhi ke saath uthaye the Aur  har kharab waqt me bhi, jinhone bharose dilaye the,
Un doston ke saath,
Din bhar ki masti thi, Dekhte hi unko rooh hasti thi, kuch ko gaane,to kuch ko bajane ka shouk tha kuch ko,padne kato ko aaram farmane ka shok tha,
Milte the roz to din khil jate the, Ek dusre se baato me sare mausam badal jate the, Na din ka khayaal rehta tha, Na hi raat ki parvaah, Ek dusre me na jane kitne kho jate the,
kabhi kabar clg ke undar bhi jana ho jata tha, Aur  kabh kabar sir se daatt khana bhi ho jata tha, kabhi kabhi kuch jhagde bhi hote the, Aur kuch logo ke to lafde bhi ho jate the,
Har kisi ki birthday party manate the Aur isi bahane se vapas clg nai jate the,

Kabhi kisi  ke sath picture dekhne chale jate the,  To kabhi kisi ko dukh se bahar nikalne ke liye, Koi natak dohrate the,
Har ladki ko kisi na kisi ki “BHABHI” batate the, Aur na jane kitni ladkio ko apna “true love “kehlate the,
Padhai  to sirf xam k ek din pehle hua karti thi, Par uske liye bunk to mahino pehle se mare jathe the, Aise hi chalte chalte, ek aant samay aya, Aur tab sabne khud ko bada akela paya,
Din tha bichadne ka ye samaj na aya,

Aur waqt chalta chalta chala gaya.

Aur dekhte hi dekhte sab alag sa paya,
Dhere Dhere zindagi ne Jine ka tarika sikhlaya, Aur humne khud ko uski daldal me fasa hua paya

Ab akele hi jiya karte haidosto ki kami ko mehsus kiya karte hai,
Aaj yaad aa gai un dosto ki,


“Dost shabd jinke  liye choota sa lagta hai,Jin logo ke khuuda ka darza dene ka man karta hai”


Me hun Jogi, aur lika hai ye apne dosto ke naam, Me nai bhula hu tumhe ye hai tumhare liye mera paigaam.

@ramtajogi

*********************************

Connect to us @

Facebook:

Instagram:

Youtube

Ramta Jogi Poetry


                       

Follow us

Subscribe