POETRY

Bachpan | Hindi Poetry

Bachpan | Hindi Poetry

Vo sham ko ghar lautna, ek sukoon tha,

Ghar pauchkar khelne jana, ek junoon tha

Piche se maa nashta khilane ko daant rehti,

Hum to bagiche ki aur bhaagte rehte ,

Pure din ki thaakan gayaab si hojati thi,

Sari takleefiyen us khel mein kho jati thi,

Thake hare ate ghar jab,

Garam pani aur tauliya taiyaar milta tha,

Nahate hi, maa ka pyaar khaane mein beshumaar milta tha,

Fir TV ke saath thoodi aankh micholi hoti thi,

Papa ke ghar ate hi, apne kamre ki taraf humari dooli nikalti thi,

Kuch pal apni kitaabon ko jab dete, aankh jhapak si jaati thi,

Bin kuch soche , bin kuch samje, Bin kuch jaane, bin kuch mane,

Apne aap hi ek sukoon ki neend aajati thi

Ek sapne ki tarah , har pal sufiyana tha,

Kuch aisa hi mere bachpan ka zamana tha,

Aaj sab sukoon se dur hue bethe hai,

Apni aadaton me mashghool hue bethe hai,

Bhatak te hai tanhaah khudse,

Neend ko taraste, majboor hue bethe hai,

Yaad hai sabko vo khel kud, vo school vo tiffin,

Vo kal ke pal jo the koi soch koi samaj ke bin,

Jab jaante nahi the duniya ki samaj,

So sara samaaj hi apna tha,

Samaj ke ane se samaaj se hi dur hone lage,

Sab kaam us umr me bhi khatm hua karte the, bin jyada soche,

Jabse sochne lage, kaam adhure chutne lage,

Bachpan chood , bade hone ki zid thame the,

Bade hote hi bachpaan ye yaadon mein khone lage,

Zindagi mein aaj bade hote hote, bachpaan bhi kho bethe hai,

Par na jane kyu fir is aaj ke dar se,

khud ko us bachpane se dur kiye bethe hai?

      @ramta jogi

*********************************

Childhood | English Poetry

Connect to us @

Facebook:

Instagram: /

Youtube

For more poetry, @ Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe