Alvida | Hindi Poetry
POETRY

Alvida | Hindi Poetry

Alvida | Hindi Poetry

Khatm hui ab daud,
Chala manjhi kinaare ki aur,
Vo lehroon ke shoor, choode ja raha hai,
Apne vartmaan se rishte tode ja raha hai,
Behta ja raha hai, apne hi paani mein
Aur apno se hi dur vo ab hota ja raha hai,

Chala ja raha hai,
Vo chala ja raha hai,

Aaya tha yaha vo apni zindagi banane,
Apno se dur, apna ek aashiyaan sajane,
Log mile, Kaarvan bana,
Safar jo tha jeene ka, vo suhaavna bana,
Kisi ne Khushiyoon mein Hasi baanti,
Kisi ne gam mein Ashq bahaaye,
Kuch Log jude dil se,
To kuch Log hue paraaye,

Sab kuch paa liya usne yaha,
Aur ab sab kuch khoo ke jaa raha hai,

Chala ja raha hai vo
Chala ja raha hai

Badte badte Maanjhi, khoob aage badh gaya hai,
Apne raaston se age, apni mazil tak chad gaya hai,
Khush hai vo bahot,
Par gum bhi kam nai hai,
Dur ab yaha,
Vo paani ke beech jesaa mausam nai hai,

Kinaare pe ruk ke, vo aahein bhar raha hai,
Dur paani ko dekh, apni yaadein yaad kar raha hai,
Pata hai use bhi, ki ab vo waqt ja chuka hai,
Sapno se dur, maanjhi hakikat mein aa chuka hai

Apne hoothon se haske,
Aankhon se ab roo raha hai
Paani se nazrein churakar,
Kinaaron ki duniya mein vo khoo raha hai,

Chala ja raha hai ,
Maanjhi
Chala ja raha hai

@ramta jogi

*********************************

Connect to us @

Facebook:

Instagram:

Youtube

Ramta Jogi Poetry

Follow us

Subscribe